"Raanjhana Engineered"
Bass.. Bass itni hi kahaani thi
meri..
Ek kitab thi jise maine
semester bhar chhua nai tha.
ek kuch teachers the jo abhi
bhi iss ummeed me the ki
shayad
launda pass ho jaye.
do roomie the jo pagal the.
Ek aur kitab thi jo course ki nai
thi jise mai 3
baar padh chuka tha.
mera lappy tha, mobile tha,
daru ki bottlen thi, aur ye ek
dimag thajo hamara sath
chhod chuka tha, aur ye ek
hamara
dil tha jisme ab bhi himmat
baki thi.
hum padh sakte the, par kiske
liye, hum fod sakte the par
kiske liye.
mere dost, hostel, college ki
galiyan, sab mujhse chhut
raha tha, par rakh bhi kiske
liye lete. mere dil ki takat ya to
mujhe pass kara sakti thi ya
meri watt laga sakti
thi... par sala ab padhe kaun,
kaun fir se mehnat kare
xerox karane ko, notes ratane
ko.
abe koi to awaaz deke rok lo,
ye faculty jo class me har roz
hamarilete rehte hain, aaj bhi
agar theekse padhaye to
mahadev ki kasam top kar
jayen...par nahi, ab sala mood nai hai,
kitab band kar lene me hi sukh
hai, notes rakh dene me hi
bhalai hai.
Par uthenge kisi roz, back
papers clear karwane ko,
b.tech pass ho jane ko, garv se
engineer kehlaneko..!!